Holi 2023 इस होली पर पानी बचाईये और खेले होली प्राकृतिक रंगों के साथ

Advertisement

Holi इस होली पर पानी बचाईये और खेले होली प्राकृतिक रंगों के साथ

Holi aati hai aur rango ko saath me laati hai. Yeh symbolic hair vasant rutu ka jab charo aur ped aur fool khilte hain aur vatavaran ko rang se bhar dete hai. Dukh ki baat yeh hai ki log holi khelte hai magar synthetic dyes ka upyog kar ke. Yeh synthetic petroleum based colours aur dyes bahut hanikarak hote hai. Skin allergy hota hai aur cancer ke bhi yeh karan hote hai. Aaiye is holi ko prakrutik rango se khele aur apne aap ko aur doosre ko surakshit rakhne ke saath paryavaran ko bhi surakshit rakhe.

Holi

Prakrutik rang kyon?

Jahan par synthetic dyes earth ko poison karte hai aur water ko poison karte hai aur anya jeevo ka nash karte hai vahan par prakritik rang holi me upyog kare to yeh apne aap decay ho jaate hai bina kisi nuksan ke.

Jahan synthetic dyes tvacha ke liye aur sehat ke liye hanikarak hai vahan prakrutik holi ke rang se actually fayda hota hai. Fayda na ho to koi baat nahin, nuksan to jarur bilkul nahin hai. Aur to aur, aap is ko kha sakte hai aur khila sakte hai!
Yeh asani se dhul jaate hai aur daag nahin chodte hai.

Kaise banaye prakrutik rang

होली me rainbow colours hona jaroori nahin hai. Lal, peela, nila aur hara rang ho to kaafi hai enjoyment ke liye. Banaye ghar par hee prakrutik holi ke rang is tarah.

Lal gulabi rang

Holi

Lal gulabi rang होली ka favorite colour hai. Lal gulabi prakrutik color banane ke liye aap le sakte hai chukandar. Mixer me paste kare aur khoob pani daal ke rakhe. Upar ka bhag chan le. Lal rang chahiye to tamatar aur strawberry pulp ka upyog kare. Haldi ke paani me thodasa khane ka soda dalenege to bhi yeh rang badal dega aur lal ho jayega. Lal color ke liye rakt chandan powder ka upyog kiya jaa sakta hai.

Advertisement

Peela holi ka rang

Prakritik peela holi 2023 ka rang banane ke liye haldi sasta aur gunkari samagri hai jo ghar me upasthit hai. Dry color banana hai to chaval ke aate ke sath mix kare aur chidke sabhi par.

Holi

Hara holi ka rang(Holi 2023 celebration)

Mehndi powder to milta hai bazar me. Bas yeh powder chaval ke aate ke saath mila ke hara होली ka prakritik rang taiyar kare. Palak ke patti ko mider me fira de aur paani daal ke rakhe aur chan le.

Brown color – dark red

Mehndi paste me nimbu ka ras milaye to yeh brown ya dark red color aap ke liye hai taiyar. Katha powder me chuna milaye to bhi brown color mil jayega.

Blue color (Holi 2023)

होली ke liye prakritik nila rang banane ke liye purple chinese cabbage le aaye aur mixer me ghumaye. Pani milaye aur chaan le. Ab is purple paani me aap baking soda mila de to yeh rang badal ke prakritik nila rang holi ka ban jayega.

Agar yeh sab mehnat nahin karna hai to kam se kam synthetic dyes ka upyog na kare aur food colouring le aaye aur in ka istemal kare. होली ko safe banaye, khud ko surakshit rakhe, doosre ko surakshit rakhe aur paryavaran ko bhi.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *