Raksha Bandhan 2024: Vishesh Yog Aur Shubh Muhurat

mohit sharma
4 Min Read

Raksha Bandhan 2024

raksha bandhan har saal Shravan Maas ki Purnima par manaya jata hai.. Isliye ise Rakhi Purnima bhi kaha jata hai.

Is din, behnein apne bhaiyon ki samriddhi ke liye unki kalai par rang-birangi rakhi bandhati hain aur bhai apni behen ki raksha ka vachan dete hain. Kuch jagah is parv ko Rakhri bhi kaha jata hai.

happy rakshabandhan

Raksha Bandhan 2024 is baar 19 August 2024 ko manaya jayega. Is din Sawan ka aakhri Somwar bhi padega. Is baar Raksha Bandhan ke din kai shubh yog bhi ban rahe hain.

Lekin, Sawan ke mahine ki Purnima par Bhadra ka saaya hoga. Isliye, Raksha Bandhan ke liye bhadra kaal aur shubh muhurat janna zaroori hai.

Raksha Bandhan 2024: Shubh Muhurat Aur Timing

Raksha Bandhan 2024 Date: 19 August 2024

Shubh Muhurat:

Shaam 06:56 PM se 09:08 PM tak

Dopahar 01:32 PM se 04:20 PM tak

rakhi raksha bandhan

Bhadra Kaal ka Mahatva

Bhadra ka samay jab bhi hota hai, us samay rakhi bandhna ashubh mana jata hai. Shastraon ke anusar, Bhadra Bhagwan Surya Dev ki putri aur Shani Dev ki behen hai.

Shani ka swabhav kroor aur krodhi hone ke karan, Bhadra ka bhi aisa hi swabhav hai.

Brahma ji ne inhe Panchang ke ek pramukh ang kar diya hai aur unka naam Vishthi Karan rakha gaya hai. Bhadra Karan lagne par vishesh din par shubh karyon ko karne ka nishedh mana jata hai.

Ek aur manyata ke anusar, Ravan ki behan ne Bhadra kaal mein hi apne bhai ki kalai mein raksha-sutra bandha tha, jiske karan hi Ravan ka sarvanash hua tha.

Is baar Raksha Bandhan par Bhadra kaal nahin rahega. Isliye behne apne bhaiyon ki kalai par suryoday se lekar suryast ke bich kisi bhi samay par rakhi bandh sakti hain.

raksha bandhan rakhi

Bhadra Kaal:

  • 18 August 2024 ki raat 2:21 AM se lekar 19 August 2024 ki dopahar 1:24 PM tak

Is samay ke dauran rakhi bandhni nahi chahiye. Bhadra kaal ke baad hi apne bhai ki kalai par rakhi bandhayein.

Raksha Bandhan Gifts for 2024

Behen Ke Liye Raksha Bandhan Gifts: Elegant jewelry, fashion accessories, ya custom-made gifts behtar options hain. Best Rakhi gift for sister vo hona chahiye jo uski taste ko reflect kare.

Bhai Ke Liye Rakhi Gifts: Personalized items, gadgets, ya stylish accessories achhi choices hain. Raksha Bandhan gifts for brother dhundh kar unke interests ke hisaab se select karein.

Online Rakhi Shopping

Online Rakhi Amazon par aapko rakhi with gift options aur rakhi gifts for sisters ka wide range milega. Aap easily rakhi aur Raksha Bandhan gifts online order kar sakte hain.

  • Raksha Bandhan Gifts: Unique aur thoughtful Raksha Bandhan gifts online available hain, jaise simple rakhi options ke saath gifts.
2024 raksha bandhan date

Raksha Bandhan 2024 ko special banayein sahi rakhi gifts aur shubh samay ke saath. Is festive occasion ko thoughtful gifts ke saath celebrate karein aur apne loved ones ke saath bond ko cherish karein.

Zyada details aur updates ke liye humari website check karein aur Raksha Bandhan 2024 ke liye best rakhi gifts explore karein

Dhanyawaad

Share This Article